Tuesday, July 26, 2011

dhalta suraj

suraj dhal raha,
chitij tak parchaiyo ka failao liye,
godhuli lal, chehra bhi lal,
raat ke aane ka daar liye,
suraj dhal raha.....
har saam akshar yahi hota,
maan ke phailao ko samet leta,
kuch na kehta, baas mai sunta,
door kahi najaro ko rakhta,
aur yahi baash dekhta rehta,
suraj dhal raha....